Lambay balon (long healthy hair) ki khubsurti kay
charchay tou zaban zad-e aam hain. Khawateen apnay balon ko lumba or ghana
karnay kay liyay lakhon jatan karti hain or un ki khubsurti ko barhanay kay
liyay sub kuch karnay par tayyar hoti hain. Kuch desi totkay azmati hai or in
desi totkon mey say chand itnay azmooda hai kay her koie in per yaqeen rukhta
hai. Aysay hi chand gharelu totkay ya nuskhe mundarja zail bayan kiyay gayay
hai.
Gharelu Desi Totkay/ Upay
and Tips for Hair Growth in Urdu/ Hindi:
1. Balon
(hair) ko lamba karnay ka sub say pehla asool the hai kay balon ko saaf rukha
jay or balon main rozana kangha kia jai. Rozana agar aik say ziada dafa kangha
karen tou iss tarah balon ko ziada taza hawa lagti hai or sath sath in ki
exercise bhi ho jati hai jis say bal lambay orr muzbot hotay hain.
2. Balon
main tail laganay say bhi bal lumbay or ghanay hotay hao, khas tour per agar
tail ko thora neem garam kar liya jai or is ki aahista aahista malish ki jai
tou sar kay bal buuhut jald sehetmund or khubsurat ho jatay hain.
3. Jism
kay har uzw ki tarha balon ko bhi barhnay kay liyay kuch zarori ajza chahiyay
hotay hai jin mey proteins or iron sar-e fahrist hain. Hamaray baal keratin or
biotin say mil kar buntay hai or agr hamari khorak mey yeh chieezay na ho
tou bal kharab hona shuro ho jatay hai, iss tarha agar hum yeh ajza shamil kar
layi tou bal lumbay ghanay or muzboot hotay hai.
4. Agar
hamari khorak mey yey ajza shamil na ho tou hamaray baal rokhay or budnuma ho
jatay hai or lambay honay kay bejaye girnay lagtay hain. Is liyay hamain apni
khorak ka buhut khayal rukhna chahiyay or anda, ghost , dehi iron say bharpor
sabzian or phul apni mutawazan khorak mey shamil karni chahiyay. Iss kay alawa
mong phalli or badam bhi bal okay liyay mufeed hai. Dhodh or us say banay hoie
ashiya bhi balo ki liyay faidamund hai.
5. Baal
lumbay karnay kay liyay anday say bana howa shampoo bhi istamal kiya jata hai
or har tarha kiay balo ko site karta hai. Aik anday ko phaint kar us mey thora
pani shamil karlai phir us ko apnay balo par lagai. Adh ghantay kay liyay sar
ko dhank lay or phir kisi bhi achay shampoo say dho lay. Bal lumbay ho gay or
wazih faraq nazar ayyi ga.
6. Balon
yani hair ko lumba karnay kay kaie totkon mey say aik totka balon ko roz raat ko
10 say 15 munites tek kangha karna bhi hai, agar roz raat soonay say pahlay
kangha kiya jai tou thoray hi arsay mey balo ki lumbai mey azafa ho ga.
7. Balon
(hair) ko narial kay pani say dhoonay say bhi bal bartay hai. Aik cup
narial ka pani lay kar sar par us ki malish karay or 15 munites kay liayay us
ko chor day, phir sar dho lay.
8. Aloe
vera (kawar gandal) balon k liye aik bohat mofeed cheez hai. Aloe vera ke rus
(gel) main chand qatrey lemon mix kar balon main lagaen aur 1 ghatay baad dho
lain. Ye hair growth k liye totkon main se aik azmooda totka hai. Lemon k
elawah aloe vera ko olive oil aur egg ke sath bhi istemal keya ja sakta
hai.
artical by azam ali
I would like to say that this blog really convinced me, you give me best information! Thanks, very good post.
ReplyDeleteFamous bridal artist in punjab