exercise and health
Importance of
Exercise for Fitness and Health
Mojooda dor main TV, Internet aur doosri bohat c ejadat ne men aur
women ko kahil (sust) bana deya hai. Khas tour per young generations
bohat sa time inn devices ko itemal karte howey active tarz-e-zindagi nahin
rakhteen. Iss dor main sust tarz-e-zindagi aik silent killer (khamosh qatil)
sabit ho raha hai. Iss leye fitness k liye exercise ki ehmiyyat aur bhi barh
jati hai.
Benefits of
Exercise for Fitness and Health
Exercise ya warzish health aur fitness ke liye aik behtareen tuhfa
hai. Exercise bohat c bimarion, bashamool dil aur sugar, ka muft ilaj hai.
Jismani tour par mutaharik (active) rehna aik khushgawar zindagi ka zamin hai.
Aik mash’hoor doctor ke baqol, exercise sab se sasti dawai hai. Exercise dil ki
bemari, sugar, kuch cancers aur depression ke ilawah bohat se bemarion se
bachati hai.
Exercise karne ke liye kisi mehngey gym ko join karna zaroori
nahin. Bohat c exercises aisee hain jo aap ba-asaani ghar per bhi kar sakte
hain.
Exercise Tips:
·
Jo bhi exercise aap select karen woh aisee zaroor honi chahye ke
jis ke liye apko mehnat karna paray – aur yeh tu aur bhi ziada behtar hoga agar
uss se apko paseena bhi aye. Iss ke liye tez chalna aik umdha exercise ho sakti
hai.Iss ke elawah ghar main rassa phalangna , cycle chalana, bhagbani karna bhi
bohat achi exercise hai. Neez hafta main aik , du bar muscle stretching bhi
karen.
·
Walking ke elawah jumping jacks (apni jagah per uchalna), apni
jagah per kharey kharey jogging yani ahista dorna , halka wazan uthana ,
dancing , seerhyan (stairs) charhna aur leg lifting yani tangain ooper uthana
aisee exercises hain jo aap ba-asani ghar per hi kar sakti hain.
·
Exercise start karne se pehle kuch halke stretches (jaisa ke dono
bazo phelana) karna mofeed hota hai.
·
Woh exercise karen jo apko pasand ho. Iss se aap bore nahin honge.
·
Agar akele exercise karte howey boriyyat (boredom) ho tu kisi
sathi ke sath exercise ka plan banaen. Moqable ya competition ka mahol bananay
se boriyyat kamm hoti hai. Exercise ke liye goals/hadaf muqarar (set) karne se
bhi dilchaspi qaem rehti hai.
·
Jo bhi exercise fitness k liye karen, uss main mustaqil mizaji
(consistency ) dekhaen. Kuch din exercise kar ke chor dena kuch ziada faida
nahin deta.
·
Exercise karne k sath sat is baat ko bhi yaqeeni banaen ke aap
computer, tv, mobile waghaira per bhi kam time sarf karen.
·
Apne roz marrah routine main bhi chalne phirne ka izafa karen
jaisa ke market ya job tak paidal jana, lift ke bejay stairs (seerhyan)
charhna.
·
Ghar ke kaam bhi exercise ki aik shakal hain.
·
Exercise start karne ke liye kisi khas maheene ya din ka intezar
na karen, balke aaj hi start kar deegeye! Kiun k kal kabhi nahin aata.
article by Azam ali