Friday 9 December 2016

home remedies for silky hair/smoothing hair treatment/home remedies for smooth hair/silky hair treatment




Lambay balon (long healthy hair) ki khubsurti kay charchay tou zaban zad-e aam hain. Khawateen apnay balon ko lumba or ghana karnay kay liyay lakhon jatan karti hain or un ki khubsurti ko barhanay kay liyay sub kuch karnay par tayyar hoti hain. Kuch desi totkay azmati hai or in desi totkon mey say chand itnay azmooda hai kay her koie in per yaqeen rukhta hai. Aysay hi chand gharelu totkay ya nuskhe mundarja zail bayan kiyay gayay hai.
Gharelu Desi Totkay/ Upay and Tips for Hair Growth in Urdu/ Hindi:
1.    Balon (hair) ko lamba karnay ka sub say pehla asool the hai kay balon ko saaf rukha jay or balon main rozana kangha kia jai. Rozana agar aik say ziada dafa kangha karen tou iss tarah balon ko ziada taza hawa lagti hai or sath sath in ki exercise bhi ho jati hai jis say bal lambay orr muzbot hotay hain.
2.    Balon main tail laganay say bhi bal lumbay or ghanay hotay hao, khas tour per agar tail ko thora neem garam kar liya jai or is ki aahista aahista malish ki jai tou sar kay bal buuhut jald sehetmund or khubsurat ho jatay hain.
3.    Jism kay har uzw ki tarha balon ko bhi barhnay kay liyay kuch zarori ajza chahiyay hotay hai jin mey proteins or iron sar-e fahrist hain. Hamaray baal keratin or biotin say mil kar buntay hai or agr hamari khorak mey yeh chieezay na ho  tou bal kharab hona shuro ho jatay hai, iss tarha agar hum yeh ajza shamil kar layi tou bal lumbay ghanay or muzboot hotay hai.
4.     Agar hamari khorak mey yey ajza shamil na ho tou hamaray baal rokhay or budnuma ho jatay hai or lambay honay kay bejaye girnay lagtay hain. Is liyay hamain apni khorak ka buhut khayal rukhna chahiyay or anda, ghost , dehi iron say bharpor sabzian or phul apni mutawazan khorak mey shamil karni chahiyay. Iss kay alawa mong phalli or badam bhi bal okay liyay mufeed hai. Dhodh or us say banay hoie ashiya bhi balo ki liyay faidamund hai.
5.    Baal lumbay karnay kay liyay anday say bana howa shampoo bhi istamal kiya jata hai or har tarha kiay balo ko site karta hai. Aik anday ko phaint kar us mey thora pani shamil karlai phir us ko apnay balo par lagai. Adh ghantay kay liyay sar ko dhank lay or phir kisi bhi achay shampoo say dho lay. Bal lumbay ho gay or wazih faraq nazar ayyi ga.
6.    Balon yani hair ko lumba karnay kay kaie totkon mey say aik totka balon ko roz raat ko 10 say 15 munites tek kangha karna bhi hai, agar roz raat soonay say pahlay kangha kiya jai tou thoray hi arsay mey  balo ki lumbai mey azafa ho ga.
7.    Balon (hair)  ko narial kay pani say dhoonay say bhi bal bartay hai. Aik cup narial ka pani lay kar sar par us ki malish karay or 15 munites kay liayay us ko chor day, phir sar dho lay.

8.    Aloe vera (kawar gandal) balon k liye aik bohat mofeed cheez hai. Aloe vera ke rus (gel) main chand qatrey lemon mix kar balon main lagaen aur 1 ghatay baad dho lain. Ye hair growth k liye totkon main se aik azmooda totka hai. Lemon k elawah aloe vera ko olive oil aur egg  ke sath bhi istemal keya ja sakta hai.


artical  by azam ali

1 comment:

  1. I would like to say that this blog really convinced me, you give me best information! Thanks, very good post.

    Famous bridal artist in punjab

    ReplyDelete